Apne Damaan e Shifaat mein Chupae Rakhna – Mere SARKAR meri baat banaye rakhna

1699

Apnay daamane shifaat main chupaye rakhna
Mere sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) meri baat banaye rakhna

Maine maana ke nikamma hoon magar aap ka hoon
Is nikamme ko bi sarkar nibaye rakhna

Mere sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) meri baat banaye rakhna

Jab sare hashre sawaaneze pai suuraj aaye
Aapne kamli kai gunahgare pai saye rakhna

Mere sarkaar meri baat banaye rakhna

Un kai aane ki gari hai wo hain aane waaley
Mere sarkar ki mehfil ko sajaye rakhna

Mere sarkaar meri baat banaye rakhna

Zarraye khaak ko khursheed banane waey
Khaak hoon khaak ko kaadmoon sey lagaye rakhna

Mere sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) meri baat banaye rakhna
Apney daamane shifaat main chupaye rakhna